Breaking

Monday, February 11, 2019

Neem In Hindi

Neem In Hindi

Neem In Hindi

Neem In Hindi


Neem ke bare me kaun nehi janta hai. Neem sabhi rog ko harne wala ausadhiya ped hai. Agar ghar ke paas neem ka ped hai to us ghar me log kam bimar padte hai. Neem sirf bimar thik nehi karta hai balki sakaratmak urja bhi pradan karta hai. Jahan neem hai wahan ka hawa bhi sudha rahta hai. Ausadh ka bhandar hai neem.

Health Benefits of Neem in Hindi :-

1) Neem ke fayde

 Agar koi insan har roj khali pet me 5 neem ke patte chabake khta hai to us byakti ko koi bhi bimar nehi hogi knyonki yah sab rog ko harnewala ausadh hai.

2) Twacha ke rog

  Sudha nariyal ka tel 100 gram ek lohe ke patra me rakh kar usme 100 gram neem ke patte dalkar dhire dhire garam karen. Jab neem ke patte kala dikhne lage to us tel me neem ke patte ko achhi tarah mix kar den. Ab usme 2 chamach haldi ke powder dalkar achhi tarha milaen. Usme ek tukda kapur dalkar mix kar len. Is misran ko kisi bhi prakar ke twacha ke rog me istemal kar sakte hai. Jeise ki khaj khujli ya koi bhi charma rog keliye istemal kar sakte hai.

3) Jodo ki dard

 Jodo ki dard keliye neem ek ramban ilaj hai. Neem ka tel 10 gram aur sarson ke tel 25 grarm milakar lohe ke patra me garam kariye, fir usme 10 neem ke patte dal dijiye. Neem ka patta jaljane par us tel me achhi tarah mix kar dijiye. Is tel ko jodo me malish karne par jodo ke dard gayab hojati hai.

4) Ultiya

    Ulti aane par thodasa neem ke patte ke sath 5 golmarich pis kar ek cup pani ke sath sevan karne se jaldi rahat milti hai.

5) Baalo ki samasya

  Neem ke patte ko achhi tarah pis len. 50 gram pisa hua nim ke patte ko 250 gram sarson ke tel ke sath garam kariye. Jab tel me se pani sukh jaye tab us tel ko achhe se chhan lijiye. Is tel ko niyamit rup se sar me malish karne se baalo ki samasya se chhutkara milti hai. Baalo ka jhadna aur baalo ka safed hona bhi band ho jayega.

6) Danto ki dekhbhal

  Neem ki dantun niyamit istemal karne se danto ki samasya jad se mit jati hai aur masudhe bhi majbut rahti hai. Tooth brush aur pest ke badle me agar neem ki dantun ka istemal kare to muhn ke sabhi prakar ke bimari dur hojati hai.

7) Madhumeh (diabetes)

  Neem ke patte ka ras nikalkar juice banakar har roj pine se diabetes ke marij ko bahut labh milta hai. Iska niyamit seban karne se blood sugar level control hota hai.

8) Cancer 

  Har roj neem ka seban karne se cancer kabhi nehi hoga. Neem me jo protein hota hai, wah khoon maujood cancer ke jivanu se ladhta hai. Isliye rojana neem ka juice pine se hum cancer se bhi bach sakte hai.

9) Piliya (jaundice)

  Piliya ke rog se bachne keliye bhi neem ka istemal hota hai. Neem ki patto ka ras 2 chamach aur sahad 1 chamach milakar seban karne se piliya thik ho jata hai.

10) Kaan ke dard

  Kaan ke dard se rahat pane keliye neem ke tel ke kuchh bund kaan me dalen, turant rahat milti hai.

Isse bhi padhe:- Tulsi Ke Fayde

Note:- Istemal karne se pehle chikischak ke salah jarur len.

No comments:

Post a Comment