Breaking

Tuesday, February 12, 2019

Henna For Black Hair

Henna For Black Hair

Henna For Black Hair
Henna For Black Hair


  Henna me bahut se ausadhiya gun hai. Bahut se bimari henna se bhi thik ho sakti hai. Jiada tarh baalo keliye henna ka istemal hota hai aur sadhi vivah me henna ka mahatwapurna bhumika rahti hai. Ladkiya apni khubsurti ko nikharne keliye henna ko kai tarah istemal karte hai.

  Henna lagane se sar thanda rahta hai. Yah roganurodhi guno ke sath khopdi ke swasthya ko bhi banae rakhta hai. Roosi se ladhta hai aur khopdi ko swasth rakhta hai. Henna kebal roosi se nehi ladhta hai balke khopdi ke PH ko santulit rakhne me bhi madad karta hai. Yah baalo me se atirikt tel ko bhi hata deta hai. Henna khopdi ki swasthya ko badhane ke sath sath santulit PH star baalo ko jhadne se rokti hai aur naye baal ugne me sahayata karti hai aur baalo ki banawat ko bhi sudharti hai.

Aaj hum janenge henna se hum kaun kaun se gharelu upchar kar sakte hai.

Henna For Black Hair

1) Ek kaach ke bartan me ek bhag amla ka powder aur tin bhag henna powder me thodasa gara pani milakar iski mishran tayar kare. Is mishran ko 10 ghante taq rakh den fir is mishran ko baalo ke jado me lagayn.

2) Henna powder ko pani me bhigoikar raatbhar rakh den. Subha isme ek pake hue kele ko achhi tarah mix karlen. Baalo ko shampoo karne ke bad is mishran ko sar me lagaen. 5 minute ke bad baalo ko dhodalen.

3) Ek kaach ke bartan me thodasa pani len, isme multani mitti aur henna powder milakar achhi tarah mix karke iski pest banalen. Is pest ko sone se pehle baalo me lagaen aur baalo me ek towel lapet len. Subha uthkar baalo ko shampoo se dhodalen.

4) Ek bartan me thodasa pani ke sath henn, amla aur methi ke powder dalkar ek ghnte bhigone den. Ek ghante ke bad is pest ko baalo me achhi tarah lagalkar ek ghnte taq rahne den. Iske bad shampoo lagakar thande pane se dhodalen.

\5) Sab se pehle nariyal ke dudh ko garam karlen. Isme 10 chamach henna powder aur 4 chamach jaitun ke tel dalkar isse achhi tarah ghol den aur thodi der thanda hone den. Ab is mishran ko khopdi aur baalo me puri tarah lagalen. Ek ghante ke bad shampoo se dhodalen.

6) Green tea jab thodasa garam ho usme henna powder dalkar pest banalen. Is pest ko ratbhar rakh den. Subha isme nimbu ka ras dalkar achhi tarh mix karlen. Ab is pest ko baalo me lagakar 3 ghante taq chhod den. 3 ghante bad shampoo se baal dhodalen.

7) Ek bartan me henn powder aur shikakai powder me thodasa pani mila kar pest banalen. Raatbhar ise chhodden. Subah isme ek ande aur ek chamach dahi dalkar achhi tarah mix karlen. Is mishran ko pure baalo me lagakar ek ghante taq chhod den. Fir baalo me shampoo lagakar thande pani se dhodalen.


Note:- Istemal karne se pehle chikischak ki salah len.

Online income ki jankari keliye yahan par click karen https://www.onlineak.net

No comments:

Post a Comment