Breaking

Sunday, February 10, 2019

Tulsi Ke Fayde

Tulsi Ke Fayde 

Tulsi Ke Fayde

Tulsi Ke Fayde


  Tulsi ke fayde bahut hai. Hindu dharm me tulsi ko pavitra mana jata hai, Isliye bharat me ghar ghar me tulsi dekhne ko milte hai. Tulsi ko bharat me pooja bhi karte hai.
 Subah khali pet pratidin tulsi ke sevan karne se bahut se fayde milte hai. Isliye pooja karne ke bad prasad ke sath tulsi ke patte bhi diye jata hai. Tulsi agar ghar ke angan me ho to ek sakaratmak urja prdan karti hai. Tulsi se ayurved davaiyan to bahut bante hai, adhunik medicine bhi bante hai.

    Tulsi se gharelu ilaj:-

1) Do cup pani me 10 tulsi ke patte aur 3 ilaichi dalkar ubal de, jab ek cup pani bachega to usse thanda karke chhan len. Is tulsi ke pani ko har tarha ke bukhar keliye istemal kar sakte hai. Ek chamach tulsi ke pani me thodasa gol-mirchi ke powder milakar din me tin bar seban karne se har tarah ke bukhar thik ho jata hai.

2) Ek glass pani me 10 tulsi ke patte dalkar garam karlen. Ise chhan kar garam tulsi ke pani ko garare kane se tonsillitis thik ho jata hai.

3) Kidney stones (pathri) keliye ek chamach tulsi ke ras me ek chamach madh (honey) milakar niyamit sevan karne se stone pesab me nikal jaega.

4) Tulsi ke patte ko sukha kar powder bana len. Tulsi patte ke powder me sarson ke tel milakar danta-manjan ki tarah istemal karne se dant aur masudhe majbut hote hai aur muhn ke durgandh bhi dur hote hai.

5) Kan ke dard se rahat pane keliye tulsi ke patte ke ras kan me 2 bund dalna chahiye jis se jaldi rahat milti hai.

6) Ayurved ke anusar tulsi twacha keliye bahut gunkari ausadh hai. Tulsi ka pest bana kar chehre par lagae se kaale dhabbe gayab hojate hai aur twacha me nikhar aati hai.

7) Kala tulsi ke patte ke ras aankh me dalne se anknhon ki bahut se bimari thik hojati hai.

8) Tulsi ke powder ko nariyal ke tel me milakar baalo me malish karne se baal chamakdar, ghne aur lambe hote hai.

9) Tulsi ke 5 - 7 pttiya niyamit rup se khane se cholesterol ki samasya se rahat milti hai.

10) Khujli keliye bhi tulsi bahut fayde mand hai. Tulsi ke patte ko piskar usme thoda sa nimbu ka ras milakar pest banalen. Kujli ke jagah par is pest ko lagane se bahut fayda milegi.


Note:- Istemal karne se pehle ek bar chikischak ki slah jarur len.

No comments:

Post a Comment