Breaking

Friday, January 18, 2019

Sir dard ka gharelu ilaj

 Sir dard ka gharelu ilaj


  Aaj kal ke tanav bhara mahol me sir dard ek aam samasya hai. Jo sabhi logo ko samana karna padta hai. Sir dard ke kai mukhya karan hai jeise ke khan pan ka santulan na hona, nid puri taraha na lena, bad-hajmi aur pet me gas banna aadi.

  Kai bar hum sir dard se chhutkara pane keliye medicine ka istemal karte hai lekin isse faida kam aur nuksan jada hota hai.

Ise bhi padhe- Balo ka jhadna rokne ki gharelu upaya

Gharelu nuskhe hindi mein


  Sir dard ka gharelu ilaj-:

1) Lavang ko halka garam kar ke pis dalen, iska lep sir me lagane se sir dard se rahat milti hai.

2) Ek sev ko kat kar usme thoda namak dalkar khne se sir dard me rahat milti hai.

3) Kaali mirchi aur pudina mila kar chai bana kar pine se bhi sir dard me faida hota hai.

4) Badam ke tel me thoda kesar mila kar sunghne se sir dard kam hota hai.

5) Adrak, lavang aur elaichi milakar chai bana kar pine se sir dard kam hota hai.

6) Dhania aur chini ko pani me mila kar pine se bhi sir dard kam hota hai.

7) Halke hat se sir me tel malish karne se bhi rahat milti hai.

  Eise koi ahar na len jis se pet me gas banegi. Nid puri tarah len. Tanav mukta rahen. Sarab aur dhumrapan na karen. Bina masala wala halka bhojan len.



note-: Upar diye gaye upaya ko istemal kare se pehle ek bar apne chikischak ke salah jarur len.

No comments:

Post a Comment