Breaking

Saturday, March 9, 2019

Viral Fever

Viral Fever


Viral Fever
Viral Fever

 Barish ke mausam me achanak tapman ke parivartan aane se adhik tar log bukhar se pidit hote hai. Eisa hi ek bukhar hota hai, jise viral fever kehte hai. Viral fever hamare immune system ko kamjor kar deta hai, jiski bajah se sarir me sankraman bahut teji se badh jata hai. Viral ka sankraman bahut teji se ek insan se dusre  insan ke sarir tak pahuch jata hai. Isliye viral fever se sankramit rogi se bachcho ko dur hi rakhna chahie.

  Barish ke mausam me logo ko sab se jada viral fever hi pareshan karta hai. Viral ke dauran chakkar aana, cough-cold hona aur gale me kharas jeise samsya dekhne ko milta hai.

   Viral fever ke dauran aap sahi khan pan se apni immune system ko majbut kar sakte hai aur viral fever ko apne se dur bhi bhaga sakte hai. Viral fever bahut jada badhne se pehle aap kuchh gharelu upay se bhi ise thik kar sakte hai. Lekin dhyan rahe agar fever bahut jada ho to turant doctor ko hi dikhaen. 

Kuchh gharelu upay:-


Tulshi ke kadha

  Viral fever hone par prakrutik upchar ke liye sab se prabhabi aur vyapak rup se istemal ki jane bali ausadh hai tulshi. Ek chamach loung ke powder 20 tulshi ke patte ke sath 1 liter pani me dal kar ubal den. Is pani ko har 2 ghante me sevan karen. Tulshi ke is kadha ko fever ke liye sab se uttam mana jata hai.

Adrak, haldi aur sahad

   Viral fever se pidit logo ko jaldi rahat pane keliye sahad ke sath sukhe adrak aur haldi ka upayog karna chahiye. Pani me 2 tukda sukhe adrak, thodi haldi, kali mirchi aur thoda chini dal kar uabal den. Ise din me 4 bar thoda thoda pien. Is se viral fever me jaldi rahat milega.
Dhaniya ki chai
   Dhaniya ke biz sarir ko vitamin deti hai aur pratirakhya pranali ko badhati hai. Dhaniya me maujud antibiotic viral sankraman se ladhne ki shakti deta hai. Ek chamach dhaniya ko pani me ubal den, uske bad isme thoda dudh aur thoda chini mila len. Ise pine se viral fever me bahut jaldi aaram milta hai.

Methi ka pani

  Rasoi me maujud methi ke dana me bahut se ausadhya gun hai. Methi ke dana, nimbu aur sahad ka ek mishran tayar karen. Is mishran ko niyamit antral par sevan karen. Yah mishran viral fever keliye bahut achha ausadh hai. Is se to bahut se bimar thik hota hai lekin viral fever me yah jaldi asar karta hai.
Nimbu aur Sahad
  Nimbu ka ras aur sahd mila kar sevan karne se viral fever jaldi kam ho jata hai. Isliye viral fever me nimbu ka ras aur sahad ka sevan karna ati labh dayak hai.

Tulshi

   Viral fever se bachne ke liye tulshi ka sevan karna chahiye. Barish ke mausam me har roj subha tulshi ka ptta ka sevan karne se aap viral fever se bach sakte hai.

Adrak ki chai


Viral Fever
Viral Fever
Adrak ka chai bana kar usme ek chamach sahad mila kar pine se viral fever nehi hoga aur gale ke liye bhi bahut labh hota hai.

Santre ka juice

   Santre ka juice viral fever ke liye bahut fayde mand hai. Santre ka juice pine se immune system majbut hota hai jis se viral fever jaldi thik ho jata hai. Yah juice sarir ke kisi bhi sankraman se ladhne me madad karti hai.


  Yah tha kuchh ghrelu nuskhe jo aap ko viral fever se bacha sakta hai. Fir bhi agar viral fever jada ho to aap turant doctor ko dikhaen. Apne khan pan par dhyan den aur healthy foods khaen.

No comments:

Post a Comment