Breaking

Friday, February 15, 2019

Amla Benefits

Amla Benefits

Amla Benefits
Amla Benefits

Amla Benefits

Amla sehat keliye bahut labh dayak hai. Amla khane me bhi swadist hai, ise khane ke bad iska swad ka pata chalta hai. Amla me ausadhiya guno ka bhandar hai. Iske sevan karne se insan sada jawan rahta hai. Chote bade lagbhag sabhi bimariyo ke ilaj keliye yah istemal hota hai. Amla me vitamin C bharpur matra me milta hai. Amala ka sevan ankh, baal, twach, dil aur pure sarir keliye fayde mand hai.

1) Jin logon ko nind ki samasya hai, unke liye amla bahut fayde mand hai. Dahi ke sath amla ka ras milakar sevan karne se achhi nind aati hai.

2) Kai logo ka kabhi kabhi naak se khun girta hai. Wah log agar din me 3 bar amla ka ras ka sevan karte hai to bahut labh milta hai.

3) Jin ka samaya se pehle baal jhadne lagta hai, unke liye amla ramban upaya hai. Amla aur gud saman matra me lekar sevan karen se baal jhadna band hojata hai. Amla ko pees kar sar me lagane se bhi baal jhadna band ho jata hai.

4) Bad hajmi keliye amla ek achha ausadh hai. Amla ek chamach, pipli ek chamach aur saindhiv namak tin chamach milakar powder banalen. Khana khane ke bad halka garm pani ke sath is powder ko sevan karne se bad hajmi dur ho jata hai.

5) Peshab me agar jalan hota hai to un logo ke liye amla bahut gun-kari hai. Ek glass pani me 10 gram amla ka ras aur mishri milakar, sarbat banakar pine se jalan band ho jata hai.

6) Peshab me agar khun girta ho to 3 tola amla ka ras, 3 tola ganne ka ras aur 1 chamach madhu milakar sevan karne se jaldi rahat milta hai.

7) khoon ki kami agar ho to, amla ko pani me ubal kar chhan len, us pani me 20 gram satabari ka churna milakar gaay ke dudh ke sath sakar dal kar sevan karne se is samasy se chhutkara mil jata hai.

8) Amla ka churn aur gud mila kar sevan karne se kamar ka dard jeisi bimari thik ho jata hai.

9) Dil keliye amal bahut faydemand hai. Dil ke marij ko prati din kam se kam 3-4 amla khana chahie.

10) Diabetes ke marij keliye amla ek bahut hi achha ausadh hai. Amla ke sath haldi ka powder milakar sevan karne se diabetes ke marij ko bahut labh milta hai.

Isse bhi padhe:- Henna For Black Hair

Note:- Istemal karne se pehle chikischak ka salah jarur len.

No comments:

Post a Comment