Breaking

Tuesday, January 22, 2019

Hair care in hindi tips

Hair care in hindi tips

Hair care in hindi tips

Har mahila ke spna hota hai ki uska lamba aur ghana baal ho lekin dhul mitti aur pradusan ke karan yah sapna sakar hona asmbhab lagta hai. Kai tarah ke medicine bhi istemal karte hai lekin achhe parinam nehi milte hai. Tanv bhari jindegi aur badhti umar ke sath sath baalo ki hatal aur kharab hoti jati hai. Is samasya ka samadhan nikalne keliye hum aap ko kuchh ghrelu upchar batane jarahe hai jisse aap gharelu chijo se hi apna baalo ki dekhbhal kar sakte hai.

Hair care in hindi tips:-

1) Ek cup dahi me ek chamach olive oil mix kar ke apne baalo me lagakar 30 minute taq chhod den. Uske bad shampoo se baal dho dalen. 2 cup pani me thoda nimbu ka ras mila kar phir baalo ko dhodalen. Is se baalo ka tutna kam ho jayega aur baal chamakdar bhi banega.

2) Nariyal ka tel, sarson ka tel aur arandi ka tel ko milakar baalo me lagaen. 3 ghante ke baad baal dhodalen, Ise ek saptah me kam se kam 3 bar istemal karne se achhe parinam milti hai.

3) Raat ko methhi ke dane ko pani me bhigoke rakhen, subha ise piskar dahi ke sath mix karlen. Saptah me 2 bar is misran ko baalo me lagaen.

4) Kadi aptta ko nariyal ke tel me garam karen, fir tel ko chhan len. Is tel ko baalo ke jad me malish karne se bahut fayda milti hai.

5) Mehandi ko dahi me milakar iska pest banakar baalo me lagaen. Kuchh der ke bad baal ko shempoo se dhodalen. Mehandi se bhi baalo ko bahut fayda milti hai.

6) Chawal ko 30 minute taq pani me bhigoke rakhen. Uske bad chawal ko pani se chhankar nikal den. Is pani se baal aur baalo ke jad ko malish karen fir dhodalen.

7) Baalo ko shempoo karne se pehle nimbu ke ras se baalo ke jad taq halke haat se malish karen fir baalo ko dhodalen.

Ise bhi padhe:- Gharelu nuskhe for hair growth in hindi

  Upar diye gaye upchar ko karne ke sath sath khan-pan me bhi dhyan dena chahiye jisse baalo ko jaruri vitamin aur minerals milsake. Hmesa khus rahne ki kosish karen jisse baalo ka jhadne ki samasya nehi rahegi.

Note:- In upcharo ko istemal karne se pehle apni chikischak ki salah jarur len  

No comments:

Post a Comment