Breaking

Monday, January 21, 2019

Sardi khansi ka gharelu ilaj in hindi

Sardi khansi ka gharelu ilaj in hindi

Sardi khansi ka gharelu ilaj in hindi

  Har bar badalti mausam ke sath ek samasya sabhi ke sath aati hai aur wah hai sardi, khansi aur jukam, Is samasya se jada tarah bachche prabhabit hote hai. Is samasya se chhutkara pane keliye hum aap ko kuchh gharelu ilaj batane ja rahe he jo aap ke liye bahut faidemand sabit ho sakti hai.

1) Ek glass pani me ek chamach jira dal kar garam karen. Pani ko chhan kar usme 7 tulshi ke patte aur 1 chamach adrak dal kar ubal den. Fir usse chhan kar usme 2 chamach sahad mila len.
Is misran ko subha pine se kafi rahat milegi.

2) Ek chamach sahad, ek chutki ilaichi aur ek chamach nimbu ke ras me mila kar din me do bar lene se kafi rahhat mil sakti hai.

3) Ek glass dudh me ek chamach haldi dal kar pine se bhi sardi khansi mebahut faida karti hai. Knyo ki haldi me anti oxidant hai jo apna rog pratirodhak sakti ko badhati hai.

4) Adrak ke ras me tulsi aur sahad mila kar seban karne se bhi sardi khansi me rahat milti hai.

5) Lahsun ko ghee me bhun kar khane se bahut faida milti hai.

6) Anar ka ras me adrak aur pipli ka powder mila kar seban kar sakte hai.

7) Garam pani me haldi aur namak dal kar kulla (gargling) karne se gala saf hota hai aur sardi khnsi bhi thik ho jati hai.


Note:- In gharelu ilaj ko istemal karne se pehle ek bar apne chikischak ka salah jarur len.

No comments:

Post a Comment